• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na KHushi Se Hamein Na Gham Se Gharaz

Na KHushi Se Hamein Na Gham Se Gharaz

poet

na ḳhushi se hamen na gham se gharaz

hai magar ek us sanam se gharaz

na hamen jaam se na ḳhum se gharaz

yaar rakhte hain apne dam se gharaz

nahin parva koi jiye ki mare

hai unhen rat-din sitam se gharaz

jo ki shakir hain apni qismat par

nahin kuchh un ko besh-o-kam se gharaz

ham rasul-e-ḳhuda ki ummat hain

hai hamen shafa-e-umam se gharaz

aur tasadduq se us ke rakhte hain

apne allah ke ham karam se gharaz

‘aish’ jo us nigah ke ashiq hain

un ko kya ḳhanjar-e-do-dam se gharaz

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yaksu Bhi Lag Raha Hun Bikharne Ke Bawajud

Fulan Se Dekho Falane Ki Baat Karta Hai

allama-iqbal

Kya Ishq Ek Zindagi-E-Mustaar Ka

muneer-niyazi

Aai Hai Ab Yaad Kya Raat Ek Bite Sal Ki

poet

Shikayat Ke Ewaz Hum Shukr Karte Hain Sanam Tere

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet