mujh se bada hai mera haal
tujh se chhuta tera khayal
chaar pahar ki hai ye raat
aur judai ke sau saal
haath utha kar dil par se
ankhon par rakkha rumal
nang hai takiyedaron ka
pa-e-talab ya dast-e-saval
man jo kahta hai mat sun
ya phir tan par mitti daal
ujla ujla tera ruup
dhundle dhundle khadd-o-khal
sukh ki khatir dukh mat bech
jaal ke pichhe jaal na daal
raj-singhasan mera dil
aan biraje hain jagpal
kis din ghar aaya ‘javed’
kab paaya hai us ko bahal
Leave a Reply