yunhi aati nahin hava mujh men
abhi raushan hai ik diya mujh men
vo mujhe dekh kar ḳhamosh raha
aur ik shor mach gaya mujh men
donon aadam ke muntaqim beTe
aur hua un ka samna mujh men
main madine ko lauT aaya huun
ya.ani jaari hai karbala mujh men
raushni aane vaale ḳhvab ki hai
din to kab ka guzar chuka mujh men
is andhere men jab koi bhi na tha
mujh se gum ho gaya ḳhuda mujh men
Leave a Reply