fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai
ghazab men jaan dil-e-be-qarar rakhta hai
gul-e-chaman na dur-e-shahvar rakhta hai
bhara bhara jo badan mera yaar rakhta hai
latif ruuh ki manind jism hai kis ka
piyada kaun vaqar-e-savar rakhta hai
juda juda hai hasinan-e-dahr ka andaz
har ek tarah ki har gul bahar rakhta hai
fareb-e-husn se allah aadmi ko bacha
chale ye pech to rustam ko maar rakhta hai
kamal-e-ishq ko paata huun khaksari men
taraf nasheb ke dariya guzar rakhta hai
bahar aai hai bint-ul-inab pe joban hai
girah men daam koi bada-khvar rakhta hai
suna hai jab se ki hain dafan us men ashiq-e-zar
qadam zamin pe nahin vo nigar rakhta hai
har ek shisha-e-saat falak ko kahta hai
ki ‘muntahi’ se sarasar ghubar rakhta hai
Leave a Reply