faza-e-zehn ki jalti hava badalne tak
main bujh na ja.un lihaf-e-ana badalne tak
charagh-e-jism men is baar bujh na ja.un main
hava-e-ḳhema-e-shab ki rida badalne tak
phir aaj kuufe se hijrat bahut zaruri hai
palaT ke a.enge ab-o-hava badalne tak
ajiib log hain duniya tiri havas ke liye
tule hue hain ḳhud apna ḳhuda badalne tak
kashid karte hain zindan ki vadiyon se umiid
qafas badalne hain zanjir-e-pa badalne tak
usuul kaanp rahe the badan ki bhaTTi men
qana.aton ki mukammal faza badalne tak
mire lahu ka namak chakh liya hai us ne bhi
vo ḳhush rahega bahut za.iqa badalne tak
safed barf pe nachi bahar ji-bhar ke
nizam-e-qudrat-e-kohna ki ja badalne tak
Leave a Reply