har kisi ka har kisi se rabta tuuta hua
aankh se manzar khabar se vaqia tuuta hua
kyuun ye ham-surat ravan hain mukhtalif atraf men
hai kahin se qafile ka silsila tuuta hua
vaae majburi ki apna maskh chehra dekhiye
samne rakkha gaya hai aaina tuuta hua
khud-ba-khud badle to badle ye zamin is ke siva
kya basharat de hamara hausla tuuta hua
khvab ke aage shikast-e-khvab ka tha samna
ye safar tha marhala-dar-marhala tuuta hua
kuchh taghaful bhi khabardari men shamil kijiye
varna kar dalega pagal vahima tuuta hua