maqam-e-nur ho kar rah gaya hai
vo ham se duur ho kar rah gaya hai
charagh-e-dil bujha to tan-badan men
dhuan mahsur ho kar rah gaya hai
ḳhudi men be-ḳhudi ko chhu liya tha
nasha kafur ho kar rah gaya hai
hava ghere hue hai taq-e-shab ko
diya ma.azur ho kar rah gaya hai
jo taara ḳhaak se hona tha zahir
vahi mastur ho kar rah gaya hai
ye dil had se guzarna chahta tha
magar majbur ho kar rah gaya hai
mira gham teri tariḳh-e-karam men
faqat mazkur ho kar rah gaya hai
unhi hathon se banna aur miTna
yahi dastur ho kar rah gaya hai
Leave a Reply