
Poet
jamal-gah-e-taghazzul ki tab-o-tab tiri yaad
pa tangna.e-ghazal men sama.e kab tiri yaad
kisi khanDar se guzarti hava ka nam! tira gham!!
shajar pe girti hui barf ka tarab tiri yaad
tu mujh se mere zamanon ka puchhti hai to sun!
tira junun, tira sauda, tiri talab, tiri yaad
guzar-gahon ko ujaḌne nahin diya tu ne
kabhi yahan se guzarti thi tuu, aur ab tiri yaad
ye qaid-e-umr to kaTti nazar nahin ati!
bas ik qarina! tira dhyan, ek Dhab! tiri yaad
ba-faiz-e-dard-e-mohabbat main ḳhush nasab, main najib!
mira qabila tira gham, mira nasab tiri yaad
ba-juz hikayat-e-tu iin vajud-e-chiz-e-nist
main kul ka kul tira qissa main sab ka sab tiri yaad
darin guman-kada kullo-man-alaiha-fan
bas ik chhalava mira ishq, ek chhab tiri yaad
bahar sabil-e-hunar ka safar to jaari hai
kabhi kuchh aur bahana, kabhu sabab tiri yaad

Leave a Reply