bayaban-o-sahra ko main zer karta
chala ja raha huun
magar ye yaqin hai
ki tarik ankhon se parda hatega
andhere ujalon men tabdil honge
nazar mujh ko aaega raushan sitara
ki chahat men jis ki
azal se zamin par
safar par safar tai kiye ja raha huun
Leave a Reply