jis qadar hain husn ki zeba.iyan
us qadar hain ishq ki rusva.iyan
meri janib hai ruḳh-e-tasvir-e-dost
luuT liin is ne miri tanha.iyan
dene vaale ab to daman bhi nahin
is qadar teri karam-farma.iyan
husn ka naz-e-pasheman dekh kar
ishq ko aane lagin angḌa.iyan
ho gaya mushkil tira pahchanna
roz-afzun hain tiri ra.ana.iyan
gham ki shab ‘kaifi’ mira koi nahin
duur mujh se ho ga.iin parchha.iyan
Leave a Reply