karta huun ab ke baar main tauba se tauba yaar
kis vaste ki tuuti hai tauba hazar baar
jal hi gaya firaq tu atish se hijr ki
ankhon men miri rah na saka yaaro intizar
barbad meri khaak hui vaan na le gai
dil men mire rahega saba se yahi ghubar
saghar tujhe qasam hai sar kham ki jald bhar
karta hai dast-gir vagarna mujhe khumar
is tang-na-e-dahr se bahar qadam ko rakh
hai asman zamin se pare vusat-e-mazar
marham laga na daagh ko jarrah mehr kar
ye daagh taaza mere kisi ki hain yadgar
chalta huun rah-e-ishq men ankhon se misl-e-ashk
phuten kahin ye aable sarsabz hoven khaar
atish se gul ki daagh magar ‘ishq’ khaae the
aai jo peshva tujhe lene ko nau-bahar