na bulvaya na aa.e roz va.ada kar ke din kaaTe
baḌe vo ho ki tum ne achchha achchha kar ke din kaaTe
akele kya tumhin ne saḳhtiyan jhelin juda.i ki
nahin ham ne bhi patthar ka kaleja kar ke din kaaTe
bata mujh ko tariqa ai shab-e-gham saal kaTne ka
koi baara mahine tiis din kya kar ke din kaaTe
jise apna samajhte the vahi dil ho gaya un ka
koi duniya men ab kis ka bharosa kar ke din kaaTe
qaza bhi aa ga.i lekin na aana tha na aa.e vo
ye main ne umr-bhar kis ki tamanna kar ke din kaaTe
tumhara kya khule bandon rahe chahe jise dekha
kamal us ne kiya ‘muztar’ ki parda kar ke din kaaTe
Leave a Reply