ai arzu-e-qatl zara dil ko thamna
mushkil pada mira mire qatil ko thamna
tasir-e-be-qarari-e-nakam afrin
hai kaam un se shokh-e-shamail ko thamna
dekhe hai chandni vo zamin par na gir pade
ai charkh apne tu mah-e-kamil ko thamna
muztar huun kis ka tarz-e-sukhan se samajh gaya
ab zikr kya hai sama-e-aqil ko thamna
ho sarsar-e-fughan se na kyunkar vo muztarib
mushkil hua hai parda-e-mahmil ko thamna
sikhe hain mujh se nala-e-nai asman-shikan
sayyad ab qafas men anadil ko thamna
ye zulf kham-ba-kham na ho kya tab-e-ghair hai
tere junun-zade ki salasil ko thamna
ai hamdam aah talkhi-e-hijran se dam nahin
girta hai dekh jam-e-halahil ko thamna
simab-var mar gae zabt-e-qalaq se ham
kya qahr hai tabiat-e-mail ko thamna
aghosh-e-gor ho gai akhir lahuluhan
asan nahin hai aap ke bismil ko thamna
siine pe haath dharte hi kuchh dam pe ban gai
lo jaan ka azaab hua dil ko thamna
baaqi hai shauq-e-chak-e-gareban abhi mujhe
bas ai rafugar apni anamil ko thamna
mat mangiyo amaan buton se ki hai haram
‘momin’ zaban-e-behuda saail ko thamna
Leave a Reply