uth jaane par to jalve tumhare nihan kahan
tar-e-nazar hai parda koi darmiyan kahan
kul-kaenat kya hai ba-juz yas-o-arzu
dil se ziyada vusat-e-kaun-o-makan kahan
utthe hain ab nigah se parde fareb ke
juz dard-o-gham khushi ka jahan men nishan kahan
‘kaifi’ karishme apne hi kaif-e-nazar ke hain
is dahr-e-be-bisat men ranginiyan kahan