gesu o ruḳhsar ki baten karen
aao mil kar pyaar ki baten karen
bevafa.i jis ka hai tarz-e-amal
bas usi dildar ki baten karen
aj-kal paidal safar dushvar hai
ḳhubsurat car ki baten karen
le ke niklen ik mobile haath men
ab to bas be-tar ki baten karen
jab samajh men kuchh na aa.e aap ko
baiTh kar be-kar ki baten karen
baat kanTon ki tarah jis ki chubhe
kyuun usi gulnar ki baten karen
sulh par jab donon amada hue
phir ye kyuun talvar ki baten karen
jo yahan da.ava baḌe va.ade kare
bas usi sarkar ki baten karen
kyuun ho ‘azam’ ek mahbuba ki baat
aur bhi do-char ki baten karen
Leave a Reply