dil ki duniya men tujhe la ke main hairan kar duun
aa tujhe dard-e-mohabbat se farozan kar duun
chand lamhe jo mayassar hon sukun ke mujh ko
raah nikle to har ik dard ka darman kar duun
inqilabat vahi hain ki jo yaksar ubhren
gar ho taḳhrib ghadar naam men chaspan kar duun
us ke ghar ja.un rahi jis se adavat barson
thoḌi taklif sahi us ko pasheman kar duun
aarzu hai ki rahun zinda mohabbat ban kar
huun jahan dafn ‘asar’ us ko gulistan kar duun
Leave a Reply