ye ghalat hai ye saal Thiik nahin
har ghaḌi ka malal Thiik nahin
zindagi ik ḳhayal-ḳhana hai
aap ka ye ḳhayal Thiik nahin
phuul ko dhuul ki zarurat hai
is qadar dekh-bhal Thiik nahin
girne vaale ne sar uTha ke kaha
in sitaron ki chaal Thiik nahin
a.ina-saz Thiik kahta hai
shishagar ki misal Thiik nahin
saath chalte raho magar ḳhamosh
is safar men saval Thiik nahin
aap ke naḳhunon se yaad aaya
mere zaḳhmon ka haal Thiik nahin
itni chhoTi si baat par ‘imrran’
itna gahra malal Thiik nahin
Leave a Reply