tujh ko dekha to miri aankh ne dekha mujh men
jhilmilata hai koi pahle hi tujh sa mujh men
ek girte hue aivan ka bharosa kya hai
bas isi ḳhauf se vo shaḳhs na Thahra mujh men
itna gahra tha ki gahra.i mujhe le Duubi
sab kinaron pe rahe koi na utra mujh men
baiTh jaata hai thaka dard yahan aa ke kabhi
yaad kya hai tiri divar ka saaya mujh men
ga.e mausam ki khuli dhuup na yadon pe paḌe
barf pighlegi to chaḌh ja.enge dariya mujh men
Leave a Reply