shisha-e-dil men tire vaste baal aaya kyuun
ye mujhe tujh se na milne ka ḳhayal aaya kyuun
main to ḳhush tha ki tira maan rakha hai main ne
tere chehre pe magar aks-e-malal aaya kyuun
aur bhi gham the magar ek naya gham ye hai
main tire samne yuun gham se niDhal aaya kyuun
kaise is dil ko mire chain mila avval-e-shab
dard ki surma.i shamon pe zaval aaya kyuun
sirf ik kar-e-mohabbat tha jo karna tha mujhe
apne zimme ka.i kaam aur nikal aaya kyuun
ik sitara miri dahliz pe TuuTa kaise
ik samundar ko mire dar pe ubaal aaya kyuun
us ki ma.asum nigahon men na tha jis ka javab
mere honTon pe vahi harf-e-saval aaya kyuun
Leave a Reply