Jaante the Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha

jānte the ġham tirā dariyā bhī thā gahrā bhī thā

Dūbne se peshtar sochā bhī thā samjhā bhī thā

aa.ina ai kaash tū apnā banā letā mujhe

fā.eda is meñ bahut terā bhī thā merā bhī thā

ik azāb-e-jān thī us kī tunak-ḳhūī magar

zā.iqa us dard kā mīThā bhī thā tīkhā bhī thā

kaise paḌh letā maiñ us chehre se apnā hāl-e-dil

vo ruḳh-e-jugnū-sifat jaltā bhī thā bujhtā bhī thā

yuuñ kiyā hai muddatoñ maiñ ne ġhazal kā mashġhala

ek tere naam ko likhtā bhī thā paḌhtā bhī thā

dil kī rāhoñ meñ ba-har-sūrat rahī ik raushnī

chāñd tere dard kā baḌhtā bhī thā ghaTtā bhī thā

ham ne tere aks ko taqsīm kab hone diyā

aa.ina to bārhā TuuTā bhī thā bikhrā bhī thā

jab vo ruḳhsat ho ga.e ham se to yaad aayā hameñ

un se ai ‘asrār’ kuchh kahnā bhī thā sunñā bhī thā

Leave a Comment