ek ja harf-e-vafa likkha tha so bhi mit gaya
zahiran kaghaz tire khat ka ghalat-bar-dar hai
ji jale zauq-e-fana ki na-tamami par na kyuun
ham nahin jalte nafas har chand atish-bar hai
aag se paani men bujhte vaqt uthti hai sada
har koi darmandagi men naale se na-char hai
hai vahi bad-masti-e-har-zarra ka khud uzr-khvah
jis ke jalve se zamin ta asman sarshar hai
mujh se mat kah tu hamen kahta tha apni zindagi
zindagi se bhi mira ji in dinon be-zar hai
aankh ki tasvir sar-name pe khinchi hai ki ta
tujh pe khul jaave ki is ko hasrat-e-didar hai
Leave a Reply