• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kise Khabar Jab Main Shahr-e-Jaan Se Guzar Raha Tha

Kise Khabar Jab Main Shahr-e-Jaan Se Guzar Raha Tha

akhtar-hoshiyarpuri

kise ḳhabar jab main shahr-e-jan se guzar raha tha

zamin thi pahlu men suraj ik kos par raha tha

hava men ḳhushbuen meri pahchan ban gai thiin

main apni miTTi se phuul ban kar ubhar raha tha

ajiib sargoshiyon ka aalam tha anjuman men

main sun raha tha zamana tanqid kar raha tha

vo kaisi chhat thi jo mujh ko avaz de rahi thi

vo kya nagar tha jahan main chup-chap utar raha tha

main dekhta tha ki ungliyon men diye ki lau hai

main jagta tha ki rang ḳhvabon men bhar raha tha

ye baat alag hai ki main ne jhanka nahin gali men

ye sach hai koi sadaen deta guzar raha tha

ye chand be-harf-o-saut ḳhake mira asasa

main jin ko ghazlon ka naam de kar sanvar raha tha

zamana shabnam ke bhes men aaya aur dua di

main zard-rut men jab apni bahon men mar raha tha

mujhe kisi se naqab-zani ka ḳhatar nahin tha

main ‘aḳhtar’ apne hi jasad-e-ḳhaki se dar raha tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ajiz-matvi

Har-Qadam Marhala-e-Sabr-O-Raza Ho Jaise

akhtar-shirani

Aansu

Nahin KHasta-Haali Pe Na-Mutmain Hum

poet

Shab-E-Gham Hai Koi Aansu Ufuq Par Jalwa-Gar Kyun Ho

poet

Hote Khuda Ke Us But-E-Kafir Ki Chah Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet