aa gaya zulf ke dam men dil-e-nadan apna
apne hathon se kiya haal pareshan apna
vo dikhate hain kise jalva-e-pinhan apna
kya karen haal bayan musi-e-imran apna
ji uThe dekh ke ham kucha-e-janan ki bahar
aankh ke samne tha chashma-e-haivan apna
ishq men hausla-e-zabt na ho kya ma.ani
hai vo majnun jo kare chaak gareban apna
haa.e munh Dhank ke rone ki bhi surat na rahi
dasht men chhin liya ḳhaar ne daman apna
phuul ke husn pe sarmast hain murghan-e-chaman
kis se afsana kahe bulbul-e-nalan apna
din ko ham badiya-paima.i kiya karte hain
bistar ab raat ko hai reg-e-bayaban apna
tum sambhaloge to dil apna sambhal ja.ega
varna qaabu nahin dil par shab-e-hijran apna
abhi kamsin ho shabab aa.ega aate aate
rang badlega abhi alam-e-imkan apna
dekhne ke liye rahmat ke karishme hain bahut
kaun dekhega vahan nama-e-isyan apna
saaf rusva.i ke asar nazar aate hain
kahne sunne men nahin hai dil-e-nadan apna
yaad aane lagi yaran-e-vatan ki sohbat
dasht-e-ghurbat men hai allah nigahban apna
kaun hota hai musibat men bashar ka hamdam
shab-e-furqat ke siva kaun hai pursan apna
kyuun mila hai hamen aḳhir ye kafan ka parda
maut ki aankh men khaTka tan-e-uryan apna
dil koi chiiz nahin teri mohabbat ke baghair
main to samjha tha gham-e-ishq ko mehman apna
bada-noshi se ye e.azaz mila hai zahid
aap ko shaiḳh samajhte hain musalman apna
aaj har qatre se aati hai anal-haq ki sada
ye dikhata hai asar ḳhun-e-shahidan apna
malak-ul-maut ki surat se main ghabrata huun
aap rakhte mujhe sharminda-e-ehsan apna
daur-e-saghar men nazar aa.e nizam-e-qudrat
saath is tarah se de gardish-e-dauran apna
ashiq-e-zar pe rah rah ke nazar paḌti hai
DhunDhti hai koi hamdam shab-e-hijran apna
ham-qafas jitne hain sayyad se tharrate hain
kya kahun kis se kahun hal-e-pareshan apna
ham ne ‘rasiḳh’ tire ustad ka dekha hai kalam
aaj ham-sar nahin rakhta vo suḳhan-dan apna
ghair ki bazm ke muhtaj nahin ham ‘rasiḳh’
shad-o-abad rahe kulba-e-ahzan apna
mai-kashi hai tire chehra se numayan ‘rasiḳh’
tu ne kya haal kiya hai ye meri jaan apna
Leave a Reply