gham-e-dil kisi se chhupana paḌega
ghaḌi do ghaḌi muskurana paḌega
ye alam-e-hasti ye daur-e-zamana
to kya ab tumhen bhuul jaana paḌega
bahut bach ke nikle magar kya ḳhabar thi
idhar bhi tira astana paḌega
abhi munkir-e-ishq hai ye zamana
jo dekha hai un ko dikhana paḌega
chalo mai-kade men basera hi kar lo
na aana paḌega na jaana paḌega
na hoga kabhi faisla kufr o diin ka
tumhen ruḳh se parda haTana paḌega
nahin bhulta ‘saif’ ahd-e-tamanna
magar rafta rafta bhulana paḌega
Leave a Reply