ayaan ho aap begana banaya
vajud-e-khak ka shana banaya
tu hai alfaz se mahir ai vaaiz
mujhe be-kaif-o-kam-maana banaya
kiya izhar jab main raz-e-haq ko
to aalam mujh ko rindana banaya
hansi se meri is ne taal di baat
main tha hoshiyar divana banaya
mujhe saaqi ne be-minnat ke di mai
khumar-e-ishq-e-mardana banaya
pukara ishq ne ja dhundh le yaar
tan-e-khaki ko hai khana banaya
udaya baat men jo khud-parasti
mujhe mul de ke mastana banaya
main jaana aap ko har haal mazhar
ba-zahir banda farzana banaya
ai ‘markaz’ tujh se hai sab shaan zahir
ajab aina shahana banaya
Leave a Reply