vo mausam be-khudi ke the jo mausam ham guzar aae
ki jab chaha tumhare naam se khud ko pukar aae
safar ki sab aziyyat muntazir ankhen agar le len
paron men taqat-e-parvaz phir be-ikhtiyar aae
main tishna-lab zaminon par kahan tak chashm-e-tar rakhti
safar men zindagi ke har qadam par reg-zar aae
ghamon ke dosh par jab qarya-e-jan ka safar thahra
charagh ashkon ke rakhe khvab palkon se utaar aae
mire khvabon ke saare rang jis ki mutthiyon men hain
na jaane ab vo kya chahe yahan kyuun baar baar aae
badalte mausamon ko khuun se rangin pairahan de kar
chalo ham dast-e-qatil ka har ik ehsan utaar aae
vafa ke tishnagi ke aur kuchh maasum vaadon ke
ye saare qarz dekho ham lab-e-dariya utaar aae
Leave a Reply