main chahun bhi to zabt-e-guftugu main la nahin sakta
samajhne par bhi dil ka mudda.a samjha nahin sakta
bhala aisi tahi-daman tamannaon se kya hasil
bahalne par dil amada hai aur bahla nahin sakta
ḳhuda mahfuz rakkhe ḳhauf-e-aseb-e-asiri se
main gulshan men bhi azadi ka naghma ga nahin sakta
rag-e-gul se bhi nazuk-tar hain tinke ashiyane ke
inhen gulchin har andaz-e-navazish bha nahin sakta
bhara ja.ega kab tak ḳhun-e-mazi nabz-e-farda men
ab is pahlu pe nazm-e-qalb-e-geti aa nahin sakta
kise fitna samajh kar apni mahfil se uThata hai
zamir-e-amn is dhoke men nadan aa nahin sakta
sahab-e-fikr bhi ‘yaqub’ paband-e-faza nikla
chaman ki ḳhaak par rang-e-suḳhan barsa nahin sakta
Leave a Reply