• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai Dil KHushi Ka Zikr Bhi Karne Na De Mujhe

Ai Dil KHushi Ka Zikr Bhi Karne Na De Mujhe

ai dil ḳhushi ka zikr bhi karne na de mujhe

gham ki bulandiyon se utarne na de mujhe

ghar hi ujaḌ gaya ho to lutf-e-qayam kya

ai gardish-e-mudam Thaharne na de mujhe

maqsad ye hai sukun kisi surat na ho nasib

ai charasaz baat bhi karne na de mujhe

chehre pe khaal tak bhi na chhoḌenge bad-nigah

ai mere ḳhair-ḳhvah sanvarne na de mujhe

hai dekhne ki chiiz jo bismil ka raqs bhi

duniya ye chahti hai ki marne na de mujhe

ye daur sang-dil hi nahin tang-dil bhi hai

gar bas chale to aah bhi karne na de mujhe

ab bhi ye hausla hai ki kuchh kaam aa sukun

main TuuT to gaya huun bikharne na de mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Na Gul Se Hai Gharaz Tere Na Hai Gulzar Se Matlab

Kisi Ki Nabz Pe Is Tarah Ungliyan Rakh De

Talluq Us Se Agarche Mera KHarab Raha

baDa Ajnabi Sa Sawal Hai Koi Ajnabi Sa Jawab De

Mera KHulus-E-Mohabbat Bhi Kaamran Na Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet