be-tahasha si la-ubali hansi
chhin gai ham se vo jiyali hansi
lab khule jism muskurane laga
phuul ka khilna tha ki daali hansi
muskurai khuda ki mahviyyat
ya hamari hi be-khayali hansi
kaun be-dard chhin leta hai
mere phulon ki bholi-bhali hansi
vo nahin tha vahan to kaun tha phir
sabz patton men kaise laali hansi
dhuup men khet gungunane lage
jab koi gaanv ki jiyali hansi
hans padi shaam ki udaas faza
is tarah chaae ki pyali hansi
main kahin jaun hai taaqub men
us ki vo jaan lene vaali hansi
Leave a Reply