ik ḳhvab musalsal tha ki khulta hi nahin tha
kya peḌ tha jis ka koi saaya hi nahin tha
vo dard uTha aaj ki dil baiTh raha hai
kashti hui tayyar to dariya hi nahin tha
mathe par shikan koi na ehsas-e-nadamt
vo kaTte saron ko kabhi ginta hi nahin tha
ab jaan pe ban aa.i to ehsas hua hai
jo dekh rahe the vo tamasha hi nahin tha
sadiyon ki vafaon pe musallat raha har dam
ik lamha-e-inkar jo guzra hi nahin tha
Leave a Reply