ajiib manzar hai barishon ka makan paani men bah raha hai
falak zamin ki hudud men hai nishan paani men bah raha hai
tamam faslen ujaḌ chuki hain na hal bacha hai na bail baaqi
kisan girvi rakha hua hai lagan paani men bah raha hai
azaab utra to paanv sab ke zamin ki sat.hon se aa lage hain
hava ke ghar men nahin hai koi machan paani men bah raha hai
koi kisi ko nahin bachata sab apni ḳhatir hi tairte hain
ye din qayamat ka din ho jaise jahan paani men bah raha hai
udaas ankhon ke badalon ne dilon ke gard-o-ghubar dho.e
yaqin patthar bana khaḌa hai guman paani men bah raha hai
Leave a Reply