sukun kuchh to mila dil ka majra likh kar
lifafa phaaḌ diya phir tira pata likh kar
samajh men ye nahin aata ḳhitab kaise karun
huruf kaaT diye main ne bar-ha likh kar
qalam ne Toka bhi dil ki sada ne roka bhi
magar jo us ne kaha main ne de diya likh kar
hujum-e-gham men zaban saath jab na de paa.i
jo haal dil ka tha main ne suna diya likh kar
ab us ki baai hai ab iḳhtiyar us ka hai
kahin ka main na raha us ko bevafa likh kar
bhala sa koi bhi ik naam us ka rakh lena
par us ke naam ko ankhon se chumna likh kar
main apni hasrat-e-dil ka hisab kaise duun
ye Dher main ne lagaya zara zara likh kar
mujhe to apne liye rasta tarashna hai
main kya karunga kisi ka likha hua likh kar
mili hai us ke sabab itni raushni ‘shahzad’
bujha diye ka.i suraj use diya likh kar
Leave a Reply