ḳhauf dil men na tire dar ke gada ne rakkha
din ko kashkol bhara shab ko sirhane rakkha
fikr-e-me.ar-e-suḳhan ba.is-e-azar hui
tang rakkha to hamen apni qaba ne rakkha
raat fōtpath pe din bhar ki thakan kaam aa.i
us ka bistar bhi kya sar pe bhi taane rakkha
ḳhauf aaya nahin sanpon ke ghane jangal men
mujh ko mahfuz miri maan ki dua ne rakkha
ye alag baat samundar pe vo barsi ‘sajid’
aur kisi khet ko pyasa na ghaTa ne rakkha
Leave a Reply