liya jannat men bhi dozaḳh ka sahara ham ne
ashiyan barq ke tinkon se sanvara ham ne
husn-e-a.ina-e-ghairat ko sanvara ham ne
na liya ishq men apna bhi sahara ham ne
naqsh faani hi raha rang-e-baqa chaḌh na saka
umr bhar alam-e-imkan ko sanvara ham ne
har nafas marsiya tha sa.at-e-bedari ka
laakh soi hui qismat ko pukara ham ne
haa.e ai maslahat-e-vaqt duha.i teri
kar li na-ahl ki tanqid gavara ham ne
phir bhi peshani-e-tufan pe shikan baaqi hai
Dubte vaqt bhi dekha na kinara ham ne
dhaḌkanen dil ki bhi shahid hain ḳhuda bhi hai gavah
ham pe jab vaqt paḌa tum ko pukara ham ne
saya-e-gul men kahan fitrat-e-azad ko chain
har taḌapti hui bijli ko pukara ham ne
Leave a Reply