bujha sa rahta hai dil jab se hain vatan se juda
vo sehn-e-bagh nahin sair-e-mahtab nahin
base hue hain nigahon men vo hasin kuche
har ek zarra jahan kam ze-aftab nahin
vo bagh-o-ragh ke dil-chasp-o-dil-nashin manzar
ki jin ke hote hue khuld misl-e-khvab nahin
vo juebar-e-ravan ka tarab-faza paani
sharab se nahin kuchh kam agar sharab nahin
ba-rang-e-zulf pareshan vo mauj-ha-e-ravan
ki jin ki yaad men raton ko fikr-e-khvab nahin
sama rahe hain nazar men vo mahv-shan-e-haram
haram men jin ke sitare bhi baryab nahin
vatan ka chhed diya kis ne tazkira ‘akhtar’
ki chashm-e-shauq ko phir arzu-e-khvab nahin
Leave a Reply