• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Ko Kya Khabar Ai Subh Waqt-E-Sham Kya Hoga

Kisi Ko Kya Khabar Ai Subh Waqt-E-Sham Kya Hoga

shad-azimabadi

kisi ko kya khabar ai subh vaqt-e-sham kya hoga

khuda jaane tire aghaz ka anjam kya hoga

giraftaran-e-gesu par nahin kuchh munhasir naseh

phansa hai jo taalluq men use aram kya hoga

abas hai zahidon ko mai-kashi men uzr-e-nadari

guru rakh len usi ko jama-e-ehram kya hoga

vahi rah rah ke ghabrana vahi na-kar-gar aahen

siva is baat ke tujh se dil-e-nakam kya hoga

use bhi jald utha kar taq-e-nisyan ke havale kar

nahin pesh-e-nazar jab khatm to saaqi jaam kya hoga

yahi tuute subu mitti ke kaafi hain qanaat kar

bilorin jam-e-mai ai rind dard-asham kya hoga

taqarrub jin ko hai un ko bhi yak-guna hai mayusi

ye halat hai to phir didar tera aam kya hoga

na puchho muftiyan-e-shara ka ahval jaane do

tanaffur kufr ko jis se ho vo islam kya hoga

sahar furqat ki hai aur ghash pe ghash aate hain ashiq ko

abhi se jab ye halat ho gai ta-sham kya hoga

zaifi men tu ‘shad’ allahu-akbar pi gaya khum tak

javani men kaho ye rind mai-asham kya hoga

zamana ‘shad’ begari men kyuun akhir phansata hai

apahij kar diya piiri ne mujh se kaam kya hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab Bhi Zarron Pe Sitaron Ka Guman Hai Ki Nahin

ahmad-ali-barqi-azmi

Ehsas Ka Wasil-e-Izhaar Hai Ghazal

ismail-merathi

dhunda Kare Koi Lakh Kya Milta Hai

poet

Kyon Kahe Koi Ki Tumne Kya Kiya

Tan Se Jab Tak sans Ka Rishta Rahega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet