gham ko dil ka qarar kar liya jaa.e
is ḳhizan ko bahar kar liya jaa.e
phir junun ko savar kar liya jaa.e
ḳhud ko phir taar taar kar liya jaa.e
zindagi ki kaman se nikle
tiir ko ar-par kar liya jaa.e
ḳhud-kushi ko udhar rakhte hue
maut ka intizar kar liya jaa.e
tajrabon ko bhula ke chahte hain
tujh pe phir e’tibar kar liya jaa.e
ek hi shaḳhs to jahan men hai
ḳhud ko bhi gar shumar kar liya jaa.e
soch kar is jahan ke baare men
ḳhud ko kyuun sharmsar kar liya jaa.e
ab to lagta dushmanon ko bhi
doston men shumar kar liya jaa.e
ashk ankhon men phir umaD aa.e
is nadi ko bhi paar kar liya jaa.e
patthar auron pe ab nahin uThte
ḳhud ko hi sangsar kar liya jaa.e
sun ke apne zamir ki avaz
ḳhud ko kyuun sharmsar kar liya jaa.e
Leave a Reply