ye dana-e-havas tumhen haram kyuun nahin raha
uḌaan ka vo shauq zer-e-dam kyuun nahin raha
masafaton ka phir vo ehtimam kyuun nahin raha
safar darun-e-zat be-qayam kyuun nahin raha
bikhar ga.i hai shab to tirgi ka raaj kyuun nahin
jo baam par tha vo mah-e-tamam kyuun nahin raha
hamare qatl par usul-e-qatl-gah ka kuchh lihaz
salib-o-dar ka bhi ehtimam kyuun nahin raha
bhala ye kaise maan len ki dil ko saaf kar liya
jo sulh ho ga.i to phir kalam kyuun nahin raha
jo sho.abde the tere pir-e-vaqt un ka kya hua
ata-e-husn-o-ishq par davam kyuun nahin raha
jo pairav-e-hava-e-nafs-o-banda-e-havas hua
use ye gham vo vaqt ka imaam kyuun nahin raha
dilon ko jitne ki jo karamaten thiin kya huiin
nazar nazar jo faiz tha vo aam kyuun nahin raha
Leave a Reply