safar ki dhuul ko chehre se saaf karta raha
main us gali ka musalsal tavaf karta raha
ye meri aankh ki masjid hai paanv dhyan se rakh
ki is men ḳhvab koi etakaf karta raha
main ḳhud se pesh bhi aaya to intiha kar di
mujh aise shaḳhs ko bhi vo muaaf karta raha
aur ab khula ki vo ka.aba nahin tira ghar tha
tamam umr main jis ka tavaf karta raha
main lau main lau huun alaav main huun alaav ‘nadim’
so har charagh mira e’tiraf karta raha
Leave a Reply