ab raha kya jo luTana rah gaya
zindagi ka ek ta.ana rah gaya
ik ta.alluq jin se tha dil ko kabhi
ab vo rishta gha.ebana rah gaya
tha jo afsane men afsane ki jaan
ik vahi jumla baḌhana rah gaya
zindagi ki lazzaten ruḳhsat huiin
ik taḳhayyul sha.irana rah gaya
sochta huun aur yaad aata nahin
jaane kya un ko batana rah gaya
uljhanen maazi ki suljha.en magar
hal-o-mustaqbil men shana rah gaya
kuchh na rahne ke yahan halat hon
ye bhi kya kam hai fasana rah gaya
ja.eza us ne liya ruḳh ka ‘nazar’
samne ke ruḳh tak aana rah gaya
Leave a Reply