mizaj-e-husn men yarab tu pyaar paida kar
nahin to phir mire dil men qarar paida kar
baḌha na dast-e-talab nazr-e-naz dil kar ke
nigah-e-husn men apna vaqar paida kar
badal de koshish-e-paiham se ab-o-gil ka mizaj
ḳhizan na aa.e jise vo bahar paida kar
falak pe chaḌh ke nazar aa.e kuchh jhalak jis ki
vo aarzu dil-e-ummid-var paida kar
ye bebasi to nahin teri shan-e-insani
tu aadmi hai to ḳhud iḳhtiyar paida kar
tire amal se ho saara jahan hairat men
zamin-e-shor men bhi lala-zar paida kar
dayar-e-gham ko miTa kar basa jahan-e-ḳhushi
na.i faza na.e lail-o-nahar paida kar
jo chahta hai ‘zafar’ iltifat-e-dost idhar
to dil men jazba-e-be-iḳhtiyar paida kar
Leave a Reply