le dam-e-nigah-e-yar aaya
karne kuun mujhe shikar aaya
kyuun aave na mujh badan suun ḳhush baas
mujh bar men vo gul-izar aaya
ḳhat dekh tere ruḳh uupar aghaz
a.ina uupar ghubar aaya
jis baaj thi dil kuun be-qarari
vo dil ka mire qarar aaya
zahid ne apas ka zohd taqva
kuche men tere bisar aaya
nikla hai raqib-e-gul-badan saat
le gul ki panah ḳhaar aaya
mujh parda-e-dil pe saaz kar gham
ho naala mera sitar aaya
shabnam nahin har sahar ai ‘da.ud’
tujh gham suun gul-e-ashk-bar aaya
Leave a Reply