• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Agle Sal Yahi Waqt Aa Raha Hoga

Jab Agle Sal Yahi Waqt Aa Raha Hoga

jab agle saal yahi vaqt aa raha hoga

ye kaun janta hai kaun kis jagah hoga

tu mere samne baiTha hai aur main sochta huun

ki aa.e lamhon men jiina bhi ik saza hoga

ham apne apne bakheḌon men phans chuke honge

na tujh ko mera na mujh ko tira pata hoga

yahi jagah jahan ham aaj mil ke baiThe hain

isi jagah pe ḳhuda jaane kal ko kya hoga

yahi chamakte hue pal dhuan dhuan honge

yahi chamakta hua dil bujha bujha hoga

lahu rula.ega vo dhuup chhanv ka manzar

nazar uTha.unga jis samt jhuTpuTa hoga

bichhaḌne vaale tujhe dekh dekh sochta huun

tu phir milega to kitna badal chuka hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yaad-E-Rafta Tera Gham Manane Ke Hum

Wo honT Jo Kisi Sazish Ke Tane-Bane Lage

Baqa Ke Waste Ye Ehtimam Karta Hai

hasrat-mohani

Chahat Meri Chahat Hi Nahin Aap Ke Nazdik

Jo Hamare Safar Ka Qissa Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet