vo itna kam se kam to mehrban hai
mira hi naam zeb-e-dastan hai
saliqe se jo karta dushmani bhi
sitamgar ab koi aisa kahan hai
kahani shauq ki hai mere itni
ki ik miTTi ka paani par makan hai
mujhe ab kya kisi shai ki zarurat
tira gham jab mata-e-javedan hai
bhala kaise yaqin is par karun main
mira mahbub mujh se bad-guman hai
kahani facebōk par hai raqam ab
mohabbat apni mash.hur-e-jahan hai
mujhe ‘ḳhushtar’ vatan apna hai pyara
zamin par ḳhuld ye hindostan hai
Leave a Reply