vo kahan mujh pe jafa karta tha
jo muqaddar tha mila karta tha
aaj sharmata hai suraj us se
vo jo taron se haya karta tha
sochta huun to hansi aati hai
samne us ke main kya karta tha
main paḌa rahta tha uftadgi se
jada-e-shauq chala karta tha
yaad aaya hai ki ḳhush-bashi ko
gham ka afshurda piya karta tha
gard-e-rah ban ke jo yuun baiTha huun
surat-e-sho.ala uTha karta tha
dil se ik huuk bhi ab uThti nahin
dil ki hangama bapa karta tha
manzilon tak hai kaḌi dhuup khaḌi
main bhi saa.e men chala karta tha
ab vo marne ki uḌate hain ḳhabar
jin pe marne ko jiya karta tha
vo bhi milte the kabhi mujh se ‘nazar’
kabhi aisa bhi hua karta tha
Leave a Reply