kahan kuchh bhi adhura chahta huun
thaka huun aur thakna chahta huun
ye mumkin to nahin par kya bura hai
ja sab achchha hi achchha chahta huun
samundar chhod kar sahra men aaya
yahan dariya hi dariya chahta huun
jahan ye chand dekha ja raha hai
vahan suraj ugana chahta huun
mujhe hasil nahin kuchh zindagi se
magar kyuun aur jiina chahta huun
mujhe ‘bebak’ kab maalum hoga
ki akhir khud se main kya chahta huun
Leave a Reply