hangama-e-gham se tang aa kar izhar-e-masarrat kar baithe
mashhur thi apni zinda-dili danista shararat kar baithe
koshish to bahut ki ham ne magar paaya na gham-e-hasti se mafar
virani-e-dil jab had se badhi ghabra ke mohabbat kar baithe
hasti ke talatum men pinhan the aish o tarab ke dhare bhi
afsos hami se bhuul hui ashkon pe qanaat kar baithe
zindan-e-jahan se ye nafrat ai hazrat-e-vaiz kya kahna
allah ke aage bas na chala bandon se baghavat kar baithe
gulchin ne to koshish kar daali suuni ho chaman ki har daali
kanton ne mubarak kaam kiya phulon ki hifazat kar baithe
har chiiz nahin hai markaz par ik zarra idhar ik zarra udhar
nafrat se na dekho dushman ko shayad vo mohabbat kar baithe
allah to sab ki sunta hai jurat hai ‘shakil’ apni apni
‘hali’ ne zaban se uf bhi na ki ‘iqbal’ shikayat kar baithe
Leave a Reply