koi lahja koi jumla koi chehra nikal aaya
purane taaq ke saman se kya kya nikal aaya
ba-zahir ajnabi basti se jab kuchh der baten kiin
yahan ki ek ik shai se mira rishta nikal aaya
mire aansu hue the jazb jis miTTi men ab us par
kahin pauda kahin sabza kahin chashma nikal aaya
ḳhuda ne ek hi miTTi se gundha sab ko ik jaisa
magar ham men koi adna koi a.ala nikal aaya
sabhi se fasla rakhne ki aadat thi so ab bhi hai
paraya kaun tha jo shahr men apna nikal aaya
na.e mahaul ne pahchan hi mashkuk kar Daali
jo be-chehra the kal tak un ke bhi chehra nikal aaya
Leave a Reply