darkar tha qarar bulana pada use
avaz di to laut ke aana pada use
main kaun huun kahan se huun aur kis ka pyaar huun
bhula hua tha mujh ko batana pada use
jaate hue sabhi se milaya tha us ne haath
aur sab men main bhi tha so milana pada use
meri sabhi duaon ka mehvar vahi to tha
na chahte hue bhi bhulana pada use
‘ahmad’ use batata raha hijr maut hai
maana nahin to mar ke dikhana pada use
Leave a Reply