nahin har chand kisi gum-shuda jannat ki talash
ik na ik khuld-e-tarab-nak ka arman hai zarur
bazm-e-doshamba ki hasrat to nahin hai mujh ko
meri nazron men koi aur shabistan hai zarur
mit ke barbad-e-jahan ho ke sabhi kuchh kho ke
baat kya hai ki ziyan ka koi ehsas nahin
kar-farma hai koi taaza junun-e-taamir
dil-e-muztar abhi amag-gah-e-yas nahin
taza-dam bhi huun magar phir ye taqaza kyuun hai
haath rakh de mire mathe pe koi zohra-jabin
ek aghosh-e-hasin shauq ki meraj hai kya
kya yahi hai asar-e-nala-e-dil-ha-e-hazin
mah-vashon ka tarab-angez tabassum kya hai
hai to sab kuchh ye magar khvab asar kyuun ho jaae
husn ki jalva-gah-e-naz ka afsun taslim
yahi qurban-gah-e-arbab-e-nazar kyuun ho jaae
main ne socha tha ki dushvar hai manzil apni
ik hasin bazu-e-simin ka sahara bhi to hai
dasht-e-zulmat se akhir ko guzarna hai mujhe
koi rakhshanda o tabinda sitara bhi to hai
aag ko kis ne gulistan na banana chaha
jal bujhe kitne khalil aag gulistan na bani
tuut jaana dar-e-zindan ka to dushvar na tha
khud zulekha hi rafiq-e-mah-e-kanan na bani
ba-in inam-e-vafa uf ye taqaza-e-hayat
zindagi vaqf-e-gham-e-khak-nashinan kar de
khun-e-dil ki koi qimat jo nahin hai to na ho
khun-e-dil nazr-e-chaman-bandi-e-dauran kar de
Leave a Reply